Mera mujse milna

Ek anokha ehsas tha

Woh waqth woh manzar

Who lamha kuch khas tha

Main kaun hoon, Main kya hoon

Main kyon hoon, Main kahan hoon

Kya main bandh zamee hoon

Ya khula aasma hoon

Jab ye sawal uthe

Koi jawab na mere pass tha

Jab dekha khud ko aaine main

Do shaksiyat dikhai di

Ek parchayee apni si

Aur duji bilkul parai thee

Ye ek gehri hakikat thee

Naki koi aabhas tha

Mera dard, meri hasi

Mere krodh, Meri pyas

Mera pyar, Meri nafrat

Meri ruh ki har aawaz

Ye sab mera apna tha

Mera hi ek hissa tha

Jo na miti khud se

To najane kahan kho jati

Har waqth chehre badalte rehna

Shayad meri kismat ho jati

Mera mujse milna

Ye kisi ka vishwas tha

Woh waqth woh manzar

Woh lamha bohot khas tha